Zamane se kya bole, Jab zidd to hamari hi thi ….
Samjhaya to hamne bhi tha khud ko,
Par dil hai ki mana hi nahi……
Aaj mana hai dil,
Jab kai tukde ho gaye….
Ab manaye
to dil ke,
kis kis tukde ko…..
kis kis tukde ko…..
Ghira hoon maayoonsiyon se,
Aaj sanse bhi takleef de rahin hai…..
Gam ko barsana chahta hoon,
par aankhe bhi saath nahi de rahi hai……
Antarman me shabdon ka manthan hai,
par sun-ne wala koi nahi……
Ummeed hai koi to aayega,
par zamane ko meri parvah nahi…
Zamane se kya bole, Jab zidd to hamari hi thi ….
Samjhaya to hamne bhi tha khud ko,
Par dil hai ki mana hi nahi……
No comments:
Post a Comment