Saturday, 17 September 2016

Teri khoobsurti

Alphaaz nahi hai meri paas, 
Teri koobsurti bayan karne ke liye……………….
Hatana bhi chahon nazar,
Par tere chehre se hat-ti hi nahi …………………

Kajraaree nigahon se jo mili, Nigahen hamari
bin kahe hi sab kuch samajh jaati hai ………….
Gulaab ki pankhuriyaan hai, Ye lab tumhare
Har dard me bhi muskurahat aa jaati hai …….

Tera mera saath purana hai,
          par har din naya jeena chahta hoon  ………….
Yoohin aakhiri saans tak,
          Tera  saath nibhana chahta hoon  …………….







Zidd to hamari hi thi …

Zamane se kya bole, Jab zidd to hamari hi thi ….
Samjhaya to hamne bhi tha khud ko,
Par dil hai ki mana hi nahi……

Aaj mana hai dil,
Jab kai tukde ho gaye….
Ab manaye to dil ke, 
          kis kis tukde ko…..

Ghira hoon maayoonsiyon se,
Aaj sanse bhi takleef de rahin hai…..
Gam ko barsana chahta hoon,
par aankhe bhi saath nahi de rahi hai……

Antarman me shabdon ka manthan hai,
par sun-ne wala koi nahi……
Ummeed hai koi to aayega,
par zamane ko meri parvah nahi…

Zamane se kya bole, Jab zidd to hamari hi thi ….
Samjhaya to hamne bhi tha khud ko,
Par dil hai ki mana hi nahi……

Tuesday, 6 September 2016

आज होश में आने को मत कहो

आज होश में आने को मत कहो,
जाम से नहीं आँखों से जो पी है
आज जगाओ मुझे नींद से ,
साकी के आगोश में जो ली है
लबों से मुस्कुराहट हटती नहीं ,
तुम्हारे लबों पर हँसी जो देख ली है
आशिक़ी की राह में अब डर नहीं ,
तुमने जो मेरी बाँह थाम ली है

आज कोई छुए मुझे ,
तेरे बदन का एहसास जो बाकी है
आज कुछ सुनना चाहूँ मैं,
तेरी बातों की कशिश जो बाकी है
जाड़ों की सर्द हवाओं में भी ,
तेरी सांसों की तपिश जो बाकी है
आज होश में आने को मत कहो ,
तेरी आँखों के जाम अभी बाकी है